Sunday 29 July 2012

Yeh Hawa

Ikhlati huyi si aayi meri tarf badh ke.......
Kuch phoolon ki khushboo kuch mahuye ki mahak liye,
bachpan ki kuch yaadein kuch atkheliyan, kuch shararte.......
Kacche mitti ke bartano pe pani padne se khil uthi mitti ki mahak,
barsat ki bunde, khile- khile se ped-podhe aur nanhi chidiyon ki chahak......
Kabhi toh sang apne uda lati hai kuch sukhe patto ki bheed,
sarsarati si kheto se nikalti hai aur kabhi gori ke julfon ko ched jaati hai.......
Matwali si yeh hawa kabhi kisi apne ki yaad dilati hai,
toh kabhi apni baahon mein liye baalo ko sahlati hai.......
Kabhi shararti, kabhi natkhat, kabhi adayein dikhati,
purani yaadon ko apni baahon mein samet le aati……             
"JIYA"
Yeh hawa thodi chulbuli, badi masoom hai…..
Yeh hawa............*

Saturday 28 July 2012

Hoon Main Khafa

Hoon main khafa zara,
baat itni badi bhi nahi par bahot badi hai........
Hoon main khafa ki tu mila mujhe par bahot waqt intezar karne par mile.......
Hoon main khafa ki tu bahot apna hai par begana na hojaye iska darr kyon hai......
Hoon main khafa ki tu mujhe chahta to bahot hai par darr hai ki koi aur tujhe na chahe mere siwa......
Hoon main khafa ki humare ehsas toh jude hain par yeh waqt humein door kiye huye hai.......
Hoon main khafa har ek lamhe se joh beete tere bagair mere zindagi ke......
Hoon main khafa ki hum sath toh hain par itne arso tak door kyon rahein........
Hoon main khafa khud se, kuch inhi sawalon ko liye,
Hoon main khafa ki tum mujhe pehle kyon na mile,              
"JIYA"
Hoon main khafa aur thodi mayoos bhi ki tujh bin maine yeh zindagi kaise jee li thi….
Hoon main khafa.............*

Friday 20 July 2012

Uski Khamoshi

Uski khamoshi bhi mujhse baat karti hai,
Tanhayi mein bhi mere sath rahti hai......
Badi masoomiyat se muskarati hai,
To kabhi dil ke har zazbaat kahti hai.....
Kabhi mujhe nihaarti si, kabhi itraati si,
Toh kabhi le ke apni panaah mein mohabbat bepanaah karti hai.....
Kuch na kah ke bhi woh dil ka sab haal kahti hai.....
"JIYA"
Uski khamoshi bhi mujhse baat karti hai..............*

Wednesday 18 July 2012

Bada masoom hai

Mujhse hi chhupaye baitha hai haal-e-dil apna........
Mera dilbar bhi bada masoom hai,
"JIYA"
Joh bhula baitha hai ki mohabbat mein do dilo ke ehsaas bhi jude hote..............*

Yeh Sawan

Yeh sawan bhi badi bechaini liye baitha hai apni nigahon mein.........
"JIYA"
Ki woh haseen iss baar barsaat mein bheegne ko na nikla..............*

Monday 16 July 2012

Pareshan si ikk chahat

Badi pareshan si ikk chahat roothe baithi hai.........
"JIYA"
Mujhse woh apne humsafar ka pata poochhti hain..............*

Sunday 15 July 2012

Aye Khuda

Aye khuda teri talash har shakhs karta firr raha hai..........
"JIYA"
Ab toh dil bhi paak na raha tere banaye insano ka..............*

Safar haseen ho gaya

Manzil paane ki khwahish aur buland ho gayi.........
"JIYA" 
Jab thama usne hath toh safar haseen ho gaya.............*

Saturday 14 July 2012

Teri aankhein

Teri aankhein hi meri uljhano ka sabab ban gayi..........
ikk nazar joh tune dekha,
"JIYA"
Dil apna hi pata puchhne laga..............*

Sunday 8 July 2012

Zindagi ka har Mod

Zindgi ka har mod ek naya sawal le k aata hai...........
"JIYA"
Jawab main khud ban jaau bas itni koshish hai..............*

Purani Yaadein

Chalna bada sambhal ke, har ek kadam ek naya sabak sikhayege,
uljhi huyi yaadon ki dhundhli tasveer de jayega..........
Kuch phoolon se mahakte ehsaas, kuch anchhuye zazbaat,
"JIYA"
Naye kissey saath laayega, purani yaadon ki dho jaayega..............*

Friday 6 July 2012

Naa roke gaye apne Kadam

Mujhse he naa roke gaye apne kadam jo uski taraf badhte gaye...........
"JIYA"
Jee li zindgi paa kar usey par ek pal ki judayi bhi maarti rahi mujhe..............*

Masoomiyat bhari Muskarahat

Ek pyaari si muskarahat hi dil ko sukoon de jaati hai...........
"JIYA" 
Jab woh kisi apne ke labo pe masumiyat se khil jaati hai..............*

Wednesday 4 July 2012

Zindagi bikhar Jayegi

Tum jo mile zindgi sawar jaayegi,
umeed ki har subah nikhar jaayegi...........
Judaayi ki baat na karne mere yaar,
Tumhari kasam
tum jo bichhade agar
"JIYA"
ki zindgi bikhar jaayegi..............*

Tera Intezar

Dekh rahi hu chaand ko aur kar rahi hu tera deedar...........
"JIYA"
Jaane kya hua hai mujhe jo har pal hai tera intezar..............*

Monday 2 July 2012

Mohabbat ki Nishani

Yeh meri narazgi bhi mohabbat ki hi nishani hai...........
"JIYA"
Haqk samjhte hain apna tabhi, manaoge yeh umeed tumse karte hain..............*

Ehsaas hai uski Chhuan ka

Yeh subah bhi badi suhani hai joh shuru uski yaadon se hoti hai...........
"JIYA" 
Iss thandi hawa ki thapki mein ehsaas hai uski chhuan ka..............*

Sunday 1 July 2012

Thoda pagal hai Dilbar mera

Badi tadap hai uski baato mein jaise zara si bhi doori wo seh na paayega...........
"JIYA"
Thoda pagal sa hai dilbar mera, kho dene k darr se mujhe apne kareeb bhi na layega..............*

Ek naya Khawab

Har raat ek naya khawab woh meri aankho pe saja deta hai...........
"JIYA"
Aur yun hi jaagati duniya ko mera dushman bana deta hai...............*

Zindagi ki har subah ek nayi Umeed

Zindgi ki har subah ek nayi umeed k sath hoti hai...........

"JIYA"
Bass zarurat hoti hai sham dhalte-dhalte apne umeedo ko pura kar lene ki...............*

Ye Mohabbat Bhi

Khud ko tak bhula baithenge ye andaaza na tha...........
"JIYA"
Kambakht cheez he aisi hai ye 'mohabbat' bhi...............*

Meri chahat ka Masiha

Tasavvur ko uske paya maine kho ke apna chain-o-sukoon...........
"JIYA"
Aur woh meri chahat ka masiha banta chala gaya..............*

Lamha pichhe chhoot gaya tha

Yun he ek 'lamha' pichhe chhoot gaya tha kahin...........
"JIYA"
Paa kar usey zindgi ki har kami puri ho gayi...............*